Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 21, 2012

Meri aarzoo na karna

Main na mil sakoon jo tum say, , meri justujoo na karna
Tumhain
, meri hi qasam hai, meri aarzoo na karna

Mujhay jis say hai muhab’bat usay hai ajab yeh adat

Kabhi munh ko phair laina, kabhi guftagoo na karna

Main nay chaha tha kisi ko, maira haal kia hai daikho

Jo kiya qusoor mainay wohi tum kabho na karna

, meri ho agar burai to na daina tum safai
Mairay saath khud ko ruswa kabhi ku-ba-ku na karna

Koi poochay badnaseebi ki hai inteha bhi koi?

To mairi misaal daina tum mujhay namoo na karna

Main na mil sakoon jo tum say
, meri justujoo na karna
Tumhain
, meri hi qasam hai, , meri aarzoo na karna 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...