Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 21, 2012

Jo pall pall sath rehtee hai

Tumhain zid hai ke main keh doo
Mujhay zid hai ke tum keh do
Mujhay tum se mohabbat hai
Kaho mujh se mohabbat hai

Nahi yeh jantay dono

Mohabbat kab bhala muhtaaj hai lafzon ki baton ki
Mohabbat to hamaree dharrkano ke saaz main shamil
Sureelay geet ki maanind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utter aatee hai aankhon main

Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk se hoton ki

Mohabbat sandli hathon ki nazuk larzishon main shamil
Mohabbat soch ki gehraion se phoottee khushboo
Jo pall pall sath rehtee hai
Mohabbat aankh main palta woh pur asrar jazba hai
Jissay ab tak samajh koi nahi paya

Na isski koi soorat hai

Na isska koi paimana
Dhakkay ilfaaz main isska bahut izhaar hota hai
Kuch aisay hee ke jaisay ab
Tah_e_dil se to hum dono bahut iqraar kertay hain

Magar phir bhee na janay kion

Tumhain zid hai ke main keh doo
Mujhay zid hai ke tum keh do
Mujhay tum se mohabbat hai
Kaho mujh se mohabbat hai!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...