Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 8, 2012

jo haal tumhare baad huwa

Ab kis say kahain aur kaun sunay
 jo haal tumhare baad huwa
Is dil ki jheel si aankhoon mein 
ek khwaab bohat barbaad huwa

Yeh hijr hawa bhi dushman hai 
us naam kay saaray rangon ki
Woh naam jo mere honton per 
khushboo ki tarah abaad huwa

Is shehar mein kitne chehray thay
 kuch yaad nahee sab bhool gaye
Ek shaks kitabon jaisa thaa 
woh shaks zubaani yaad huwa

Woh apne gaaon ki galiyaan theen 
dil jin mein naachta gaata thaa
Ab is se farq nahee parta
 na'shaad huwa ya shaad huwa

Bay-naam sataaish rehti thee 
un ghehri saanwli aankhoon mein
Aisa tu kabhi socha bhi na thaa 
dil ab jitna bay-daad huwa...



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...