Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, January 28, 2012

Mansoob thay jo log meri zindagi ke saath

Mansoob thay jo log meri zindagi ke saath
Aksar wo hi milay hein bari be-rukhi ke saath

Yun to main hans para hoon tumhare liay, magar
Kitne sitaray toot pare ek hansi ke saath

Fursat milay to apna girebaan bhi dekh le
Ey dost yun na khail meri be-basi ke saath

Majboorion ki baat chali hai to mai kahan?
Hum ne piya hai zehar bhi aksar khushi ke saath

Chehray badad badal ke mujhe mil rahe hein log
Itna bura sulook meri saadgi ke saath...?

Ek sajda khuloos ki qeemat fiza-e-khuld?
Ya Rabb, na ker mazak meri bandagi ke sath

Mohsin karam ki leh bhi ho jis main khuloos bhi
Muj ko ghazab ka piyar hei uss dushmani ke saath.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...