Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, December 25, 2011

Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti


  1. Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
    Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
    Mai Kehta Hoo’n K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
    Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti


    Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
    K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
    Mai Kehta Hoo’n, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
    Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahii Aata


    Wo Kehti Hai Judai Se Boht Darta Hai Dill Mera
    K Tumko Khudd Se Hatt Kar Daikhna Mumkin Nahii Hai Abb
    Mai Kehta Hoo’n Yahi Khadshey Boht Mujhko Satatey Hain
    Magar Sach Hai Mohabbat Mai Judai Sath Chalti Hai


    Wo Kehti Hai Batao Kya Merey Binn Jee Sakogay Tumm?
    Meri Batain Meri Yadain, Meri Aankhain Bhula Do Gay?
    Mai Kehta Hoo’n Kabhi Iss Baat Par Socha Nahii Mainey
    Agar Ikk Pall Ko Bhi Sochoo’n Tau Sansain Rukne Lagti Hain


    Wo Kehti Hai Tumhe Mujhse Mohabbat Iss Qadar Kyu’n Hai
    K Mai Ikk Aam Si Larhki Tumhe Kyu’n Khas Lagti Hoo’n
    Mai Kehta Hoon Kabhi Khudko Meri Aankho’n Se Tum Daikho
    Meri Deevangii Kyu’n Hai Ye Khud Hii Jaan Jaa’ogay


    Wo Kehti Hai Mujhe Waraftagee Se Daikhte Kyu’n Ho?
    K Mai Khuddko Boht Hi Qeematii Mehsoos Karti Hoon
    Mai Kehta Hoon Mata E Jaa’n Boht Anmol Hoti Hai
    Tumhe Jab Dekhta Hoon Zindagi Mehsoos Karta Hoon


    Wo Kehti Hai Mujhey Alfaaz K Jughnoo Nahi Miltey
    Tumhe Batla Sakoo’n Dill Mai Merey Kitni Mohabbat Hai
    Mai Kehta Hoon Mohabbat To Nigaho’n Se Chhalakti Hai
    Tumhari Khamoshi Mujhse Tumhari Baat Karti Hai


    Wo Kehti Hai Batao Na Kisey Khone Se Darte Ho?
    Batao Kaun Hai Wo Jisko Ye Mausam Bulate Hain?
    Mai Kehta Hoon Ye Meri Shayari Hai Aaina Dill Ka
    Zara Daikho Batao Kuchh Tumhe Iss Mai Nazar Aaya


    Wo Kehti Hai K Aatif Jee Boht Batain Banatey Ho
    Magar Such Hai K Ye Batain Boht Hii Shaad Rakhti Hain
    Mai Kehta Hoon Ye Sab Batain, Fasane Ikk Bahana Hain
    K Pall Kuchh Zindagani K Tumharey Sath Katt Jayain


    Phir Uss K Baad Khamoshi Ka Dilkash Raqs Hota Hai
    Nagahain Bolti Hain Aur Labb Khamosh Rehte Hain


    Wo Kehti Hai Suno Jana’n Mohabbat Maum Ka Ghar Hai
    Tapish Ye Bad Ghumani Ki Kahee’n Pighla Na De Isko
    Mai Kehta Hoon K Jiss Dil Mai Zara Bhi Bad Ghumani Ho
    Waha’n Kuchh Aur Ho Tau Ho Mohabbat Ho Nahi Sakti


    Wo Kehti Hai, Sada Aisey Hi Kya Tumm Mujhko Chahogey
    K Mai Iss Mai Kami Bilkul Gawara Karr Nahii Sakti
    Mai Kehta Hoon, Mohabbat Kya Hai Ye Tumne Sikhaya Hai
    Mujhe Tumsey Mohabbat K Siwa Kuchh Bhi Nahi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...