Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, December 13, 2011

Jo daagh dil paiy lagay onn ko mita kar jeetay

Jo daagh dil paiy lagay onn ko mita kar jeetay
Kaisay hum onn ke jafaon ko bhola kar jeetay
Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya tau pathar ka koe bott he bana kar jeetay
Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay
Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay
Rung pheekay thhay chaman main bhe gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay
Na koe hud haiy ulfat mai azaadari kee
Na he laazim thha k hum ansoo baha kar jeetay
Zindagi bhe tau badalti haiy thikaanay shaukat
Warna momkin thha galay isko laga kar jeetay




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...