Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 5, 2011

Raston ki Marzi hai

Raston ki Marzi hai
Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye
Raston ki Marzi hai
Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain
Raston ki Marzi hai
Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain
Raston ki Marzi hai
Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain
Raston ki Marzi hai.........

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...