Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 8, 2011

Jo Apna Nahi Ho Sakta

Zamane Men Bhi Dhoondoge To Koi Hum Sa Nahi Ho Sakta
Hum To Sada Usay Chahte Hain Jo Apna Nahi Ho Sakta,


Boht Ujra Howa Dil Hai Magar Apna Aqeeda Hai


Jahaan Mehkain Teri Yadian Woh Sehra Nahi Ho Sakta,


Kisi Ki Yaad Abhi Tak Mere Bistar Main Soti Hai


Shab-e-Tanhai Se Keh Do Main Tanha Ho nahi Sakta,


Kuch To Apni Bhi Khataien Thi Wabal-e-Zindgi main


Sabhi Kuch To Muqadar Ka Likha Ho Nahi Sakta,


Juda Ho K Bhi Dono Hi jee Rahe Hain "Ali"
Kabhi Dono Hi Kehte The K Aysa Ho nahi Sakta.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...