Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, December 21, 2011

Jagti raat ke Haunton pe fasane jaise

Jagti raat ke Haunton pe fasane jaise

Aik pal mein simat Aaye hon zamane jaise

Aqal kehti hai bhula do jo nahin mil paya

Dil wo pagal ke koi baat na maane jaise

Raaste mein wohi manzar hain purane ab tak

Bus kami hai to nahin laug purane jaise

Aaina dekh ke Ehsaas yehi hota hai

Le Gaya waqat ho umron ke khazane jaise

Raat ki Aankh se tapka huwa Aansu "WASI"

Makh'mali Ghaas pe moti ke hon Daane jaise.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...