Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, December 7, 2011

Her us rishtay ko khota jaata hon mein,


Her us rishtay ko khota jaata hon mein,
Jis ko itni mohbbat say banata hon mein!

Chuut'ta ja raha hai her wo rishta jisay,
Dil-o-jaan say ziyaada chahta hon mein!

Lakh koshish karon ehtiyaat baratnay ki phir bhi,
Jaanay-unjaanay sabka dil dukhata hon mein!

Apnay hi diyay chund ashk dekh kay aanko main unki,
Kudh mein hi toot kay bikhar jaata hon mein!

Ab to ho gaye hay is qadar nafrat mujhay,
K kabhi-kabhi khud say he khud ko bachata hon mein!

Sunta hon jo apno ki zuban apni hee kahaani,
Her pal khud ko hi gunahgaar paata hon mein!

Taqdeer ka faisla hay ya haqeeqat zindagi ki,
Her mushkil rahon pay akaila guzarna chahta hon mein!
 






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...