Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Wo shaqs koi faisla ker bhi nahi jaata,

Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jaata,
Wo shaqs koi faisla ker bhi nahi jaata,

Aankhen hain k khaali nahi rehti hain lahoo se,
Aur zakhm-e-judaai hai k bhar bhi nahi jaata,

Wo rahat-e-jaan hai magar is dur-badri main,
Aisa hai k ab dheyaan udher bhi nahi jaata,

Hum dohri azeeyat k girftaar musafir,
Paaon bhi hain shal shoq-e-safar bhi nahi jaata,

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai,
Aur tujh se bichharrne ka dar bhi nahi jaata...!!!






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...