Wahan ki roshnion ne bhi zulm dhhaye bohat,
Main us gali main akela tha aur saaye bohat,
Kisi k sur pe kabhi toot ker gira he nahi,
Is aasman ne hawa main qadam jamaye bohat,
Na jaane rut ka tasarruf tha ya nazr ka faraib,
Kali wahi thi magar rang jhilmilaye bohat,
Hawa ka rukh he achanak badal gaya werna,
Mahek k qafle sehra ki simt aaye bohat,
Ye kayenat hai meri he khaak ka zarra,
Main apne dasht se guzra to bhaid paaye bohat,
Jo motiyon k talb ne kabhi udaas kia,
Tou bhi raah se kankar samet laaye bohat,
Bus aik raat thaherna hai kia gila kijye,
Musfiron ko ghaneemat hai ye saraye bohat,
Jami rahe gi nigahon pe tairgi din bhar,
K raat khwaab main taare utar k aaye bohat,
Shakeeb kesi urran ab wo pur he toot gaye,
K zair-e-daam jub aaye thay pharrpharraye bohat...!!!
No comments:
Post a Comment