Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar

Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar

Aik lamhe ko thaher main tujhe pathar la doon

Main tere saamne ambaar laga doon lekin

Kon se rang ka pathar tere kaam aaye ga?

Surkh pathar jise dil kehta hai be-dil pathar

Ya wo pathrai hoi aankh ka neela pathar

Jis main sadiyon se tehreer k parre hain doure

Ya tujhe rooh k pathar ki zaroorat ho gi

Jis pe haq baat bhi pathar ki tarah girti hai

Aik wo pathar hai jise kehte hain tehzeeb safaid

Is k mar mar main siyah khoon jhalak jata hai

Aik insaaf ka pathar bhi to hota hai magar

Haath main teesha, zar ho to wo haath aata hai

Jitne mayaar hain is dour k sub pathar hain

Jitne afkaar hain is dour k sub pathar hain

Shair bhi husn bhi tasveer-o-ghana bhi pathar

Mera andaza tera zehn-rasa bhi pathar

Is zamane main to her fun ka nishaan pathar hai

Haath pathar hain tere meri zaban pathar hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...