Kon bataye? Kon samjhaye? Kon se dais sudhaar gaye?
Un ka rasta takte takte nain humare haar gaye,
Kaanton k dukh sehne main taskeen bhi thi araam bhi tha,
Hansne wale bhole bhale phool chaman k maar gaye,
Aik lagan ki baat hai jeewan aik lagan he jeewan hai,
Pooch na kia khoya kia paaya, kia jeete kia haar gaye,
Aane wali barkha dekhen, kia dikhlaye aankhon ko,
Ye barkha barsate din to, bin preetam bekaar gaye,
Jub bhi loute pyaase loute phool na pa ker gulshan main,
Bhanwre amrat, ras ki dhun main pal pal so so baar gaye,
Hum se poocho saahil walon kia beeti dukhyaron per,
Kheewa haare beech bhanwar main chorr k jub us paar gaye...!!
No comments:
Post a Comment