Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 4, 2011

Raat aai hai balaon se rehai de gi,

Raat aai hai balaon se rehai de gi,
Ab na deewar na zanjeer dikhai de gi,

Waqt guzra hai per mousam nahi badla yaaron,
Aesi gardish hai zameen khud bhi duhai de gi,

Ye dhundhalka sa jo hai us ko ghaneemat jaano,
Dekhna phir koi soorat na sujhai de gi,

Dil jo toote ga to aik tarfa tamasha ho ga,
Kitne aainon main ye shakal dikhai de gi,

Saath k ghar main barra shor barpa hai Anwar,
Koi aaye ga to dastak na sunai de gi...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...