Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 30, 2011

khaab saath rehne ke nit naye dekhata hai...

khaab saath rehne ke nit naye dekhata hai...
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai...

khud ko sabz hi rakha aansoun ki barish mai
warna hijr ka mausam kis ko raas aata hai...

tu hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar jana'n
gard-e-badgumaani se dil tau toot jaata hai...

aik tum hi thai warna aadmi muhabbat mein
laakh aayein deewarein raastey banata hai...

hum to khair nadan the muntazir rahe warna
kaun apni beenayi is tarah ganwata hai...

kitne khuwaab aankhon mein zakham ban ne lagte hain...
jab hawa ke honton pe tera naam aata hai...

senkron dukanein hain wisal ke charaghon ki
kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai...





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...