Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 30, 2011

Ye To Zeest Ka Safar Hai

Ye To Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,
TuM Agar Na Saath Doge,
To Ye Kis Tarah Katega,
Meri Soch Ki Hadon Tak,
Ye GuMaan Bhi Kaise Aaye,
Kio Pal Bina TuMhare,
Bhala Kaise Beet Jaye,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere Khwaab Ke Safar Mein,
Meri Meri Soch Ki Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanwar Mein,
Mere Dil Me Jaan Me Tan Me,
Meri Hasraton Ke Ban Mein,
Mere Dil Ki Tairgee Mein,
Meri Shab Ki Roshni Mein,
Haan TuMhi Ho, Har Jagah Ho,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Har Dua Ka Mehwaar,
Bas Ek Aarzu TuMhari,
Isi Aarzu Se Aagaye
Koi Raasta Nahi Hia,
TuMhe Kis Kadar Hai Chaha
Ye TuMhe Pata Nahi Hai...




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...