ham kyaa karte kis raah chalte
har raah meN kaaNTe bikhre the
un rishtoN ke jo chhuuT gaye
un sadiiyoN ke yaaraanoN ke
jo ik-ik kar ke TuuT gaye
jis raah chale jis simt gaye
yuuN paaNv lahuu-luhaan hu’e
sab dekhne vaale kahte the
ye kaisii riit rachaa’ii hai
ye mehNdii kyuuN lagvaa’ii hai
vo kahte the, kyuuN qaht-e-vafaa
kaa naahak charchaa karte ho
paaNv se lahuu ko dho Daalo
ye raateN jab kaT jaayeNgii
sau raste in se phuuTeNge
tum dil ko sambhaalo jismeN abhi
sau tarah ke nashtar TuuTeNge
No comments:
Post a Comment