Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 2, 2011

Din ko mismaar howe, raat ko tameer howe

Din ko mismaar howe, raat ko tameer howe,
Khwaab he kuwaab faqat rooh ki jageer howe,

Umar-bhar likhte rahe phir bhi warq saada raha,
Jaane kia lafz thay jo hum se na tehreer howe,

Ye alag dukh hai k hain tere dukhon se azaad,
Ye alag qaid hai hum kyon nahi zanjeer howe,

Deeda-o-dil main tere aks ki tashkeel howe,
Dhool se phool howe rang se tasveer howe,

Kuch nahi yaad k shab-e-raqs ki mehfil main,
Hum juda kis se howe, kis se baghal-geer howe...?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...