Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, November 2, 2011

Aaj itne barson baad,

Aaj itne barson baad,
Jese kayi sadiyon baad,
Us ne kaha,
"Suno! Ab se tum azaad ho..."


Qafs khulte he,
Per toulte panchi ki manind,
Main urraan kis tarah bharoon?
Us ne noch daale thay mere per...


Dabi hoi hasraten,
Na-tamaam khwahishen,
Poori karoon kis tarah?
Na ab waqt hai na nazar...


Dil k goshon main nihaan,
Khwabon ki reshmi dourian,
Sapna bunoon kis tarah?
Sulajhti nahi dourian ulajh ker...


Rasta chalna bhool ker,
Ab jaon main kis dagar?
Ulti ho gayi sub tadbeeren,
Phir pahen li ab zanjeeren...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...