chahat ka rang tha na waffa ki lakeer thi
qatil ke hath mein toh hina ki lakeer thi
khush hun ke waqt-e-qatl mera rang surkh tha
mere labon pe harf-e-dua ki lakeer thi
main karvan ki raah samajhta raha tha jise
sehra ki reit par vo hawa ki lakeer thi
suraj ko jisne shab ke andheron mein guum kiya
mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi
guzra hai shab ko dasht se shayad vo parda-daar
har naqsh-e-pa' ke saath rida ki lakeer thi
kal usska khat mila ke saheefa waffa ka tha
'mohsin' har ek satr hayya ki lakeer thi
No comments:
Post a Comment