Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 10, 2011

Apni he dhhun main rehti hai

Apni he dhhun main rehti hai
Aik larki shokh-o-chanchal si
Phoolon se baaten karti hai
Titli k rang pakarrti hai
Aik dhanak thi us k aanchal per

Phir jaane kia toofan uttha
Titli k rang bikher gaye
Aanchal k rang uter gaye
Jub poocha main ne ae larki...!
Tum ne ye chup kyon saadhi hai
Wo kuch na boli, bus rou di
Aur khaak pe haath ki ungli se
Aik lafz "mojabbat" likh daala...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...