Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 3, 2011

Apne ashk musalsal barsen apni si barsaat kahan,

Saawan, bhhadon saatth he din hain, phir wo rut ki baat kahan,
Apne ashk musalsal barsen apni si barsaat kahan,

Chaand ne kitni baaten ker leen--- nikla, chamka doob gaya,
Hum bhi aankh jhapak lain, so lain--- Ae dil hum ko raat kahan,

Qais ka naam suna hai tum ne hum se ab mulaqaat karo,
Ishq-o-junoon ki manzil mushkil sub ki ye auqaat kahan,

Peet ka karobar bohat hai ab to aur bhi phail chala,
Aur jo kaam jahan k dekhen, fursaat dain halaat kahan,

Insha jee hum nazam k shayer, phir bhi--- khair jo hain so hain,
Kaam ki baat ghazal main kehna sub k bus ki baat kahan...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...