Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 10, 2011

Ae subah! Main kahan hoon

Ae subah! Main kahan hoon,
Khwabon he main sarf ho chuka hoon,

Sub mere ba-gher mutmain hain,
Main sub k ba-gher jee raha hon,

Kia hai jo badl gai hai duniya,
Main bhi to bohat badl gaya hon,

Gou apne hazaar naam rakh lon,
Per apne siwa main aur kia hon,

Main jurm ka aeteraaf ker k,
Kuch aur hai jo chhupa gaya hon,

Meri aik aur buri aadat,
Ikhlaaq main jhoot bolta hon,

Aik shaqs jo mujh se waqt le ker,
Aaj aa na saka to khush howa hon,

Roya hon to apne doston main,
Per tujh se to hans ker mila hon,

Ae shaqs! Main teri justujoo se,
Be-zaar nahi hon, thak gaya hon,


Kal per he rakho wafa ki baaten,
Main aaj bohat bujha howa hon...!!!



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...