Yeh MehloN, Yeh TakhtoN, Yeh TajoN ki Duniya
Yeh InsaaN Kay Dushman SamajoN ki Duniya
Yeh Daulat Kay Bhookay RiwajoN ki Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To Kia Hay
Her Ek Jism Ghayal, Her Ek Rooh Piyaasi
NigahoN Main Uljhan DiloN Main Udaasi
Yeh Duniya Hay Yaa Aalam-E-BadHawaasi
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To Kia Hay
Yahaan Ek Khilona Hai InsaaN ki Hasti
Yeh Basti Hai Murdah ParastoN ki Basti
Yahaan Pe To Jeevan Say Hay Maut Sasti
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To Kia Hay
Jawani Bhatakti Hay BadKaar Ban Ker
JawaaN Jism Sajtay Hain Bazaar Ban Ker
Yahaan Piyar Hota Hay Biyo-Paar Ban Ker
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To Kia Hay
Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahin Hay
Wafa Kuch Nahin Dosti Kuch Nahin Hay
Yahaan Piyar Ki Qadr He Kuch Nahin Hay
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaey To Kia Hay
No comments:
Post a Comment