Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, October 28, 2011

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli

Woh meri zaat mein jab tak raha likhna nahe bhooli 
Koi bhi dard jo mein ne saha likhna nahe bhooli

Woh jo mehvar thaa likhne ka, juda ho kar mila ek din 
Mila tu yeh kaha us ne suna likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi chaahat mein tumhara naam ‘Saail' hai 
Suna hai ab bhi tum mujh ko Khuda likhna nahe bhooli

Suna hai ab bhi tum mujh ko mere Saahir bulati ho 
Suna hai mujh ko rag rag mein basa likhna nahe bhooli

Kaha ke bhool bethi hoon hatheli per hina likhna 
Magar mein aasmanoo per dua likhna nahe bhooli

Samay ke uth'tay mathay per tujhe dhoonda, bahut dhoonda 
Samay ke jhuktay shanoo per sada likhna nahe bhooli

Mujhe ek din mere kaatib ne likha thaa juda tujh se 
Mein tujh ko aaj bhi khud se juda likhna nahe bhooli

Chupane ke leye sab dukh abhi bhi muskurati hoon 
Mein ab bhi chehre per chehre naya likhna nahe bhooli

Mein ab bhi is judai mein kae dukh dard sehti hoon 
Mein ab bhi teri aankhoon ko shifa likhna nahe bhooli

Kiya thaa tarq-e-taaluq ka iraada aik pal mein ne 
Mein ab bhi us iraaday ko saza likhna nahe bhooli

Batao tum mujhe Janaan! mein kaise bhool sakti hoon 
Abhi qudrat mera jeevan numa likhna nahe bhooli

Judaee kaat li mein ne magar marnay se kuch pehle 
Mein zindaan ke darechoon per saba likhna nahe bhooli


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...