Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, October 28, 2011

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Band Tha Wo Khamoshi Ki Zindaan Mein
Jis Mein Dar Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Mein Aaya Ke Uski Ye Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Dun Use,

Uss Se Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Wo Meri Baat Par Soch Mein PaR Gaya,
Apne Maazi Ka Dar Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Wo Ye Samjha Ke Uske Andheron Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Iraday Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo URnay Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi JuRnay Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Main ne Uss se Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Wo Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Mein Is Qadar Kho Gaya,

Uski Khamoshiyion Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyon Ka Nagar,
Aur Main Apni Majbooriyon Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Main, "Har Pari
Umar Bhar Yun Pari Banke Reh Jaye To
Dolti Hai Nazar Uss Pe Har Dev Ki,
Aur Nazar Wo Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan Pari Ka Jala Kar Tallay,
Uski Khushiyon Ki Aur Raahaton Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le Loon, Tum Hi Ab Kaho?

Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chun-na PaRaa
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har Pari Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke LaRki Piya Sang Jaana PaRaa, 

Main Ne Uss se Phir Us Din Kuch Aisay Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Uss Ne Puchha, "Wo IQraar-O-Ehd-E-Wafa,
Kya Hue, Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhuth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Kitna Hairan Hua Hoga Wo Sun-kar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karungi Khuda Se Dua,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gam Kabhi,

Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke MileiN Aur Mil Kar BichhaR JayeN Hum...



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...