Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 6, 2011

Waqt-e-rukhsat sar jhuka ke wo yun gaya ke main

Waqt-e-rukhsat sar jhuka ke wo yun gaya ke main
Bahut door talak safar mein usse sochta raha

Apne aks mein bhi na main khud ko paa sakaa
kisko na jaane Aaj tak main dhoondata raha

jab aankh khuli , tha door tak tanhaaeyon ka khauf
bas khawaab hee mein zindagi se waasta raha

manzil pe mudhkar dekhaa to the raaste udaas
jaane kis kii justajoo mein ab tak bhaagtaa raha

meri hi tarah tanhaa thaa aasmaan pe chaand
kal shab usi ke saath mein bhi jaagtaa raha

main chahta tha usko apni jaan se bhi zayaada
isse baat pe wo shaayad mujhse badgumaan raha



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...