Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 6, 2011

udaasiyon se daaman chhuraane na diya

udaasiyon se daaman chhuraane na diya
tere ghum ne mujhko muskuraane na diya

soz-e-ghum de dariya mein mujhko duboo gaye
maine jinko ek aansu bhi bahaane na diya

bahot maine chaha ke ab tu na yaad aaye
phoolon ne teri soorat ko bhulaane na diya

karta raha main aandhiyon se kashamakash
hawaa ne mujhko aashiyaan banaane na diya

kashti to maine daal di dariya-e-ishq mein
toofano ne dariya ke paar jaane na diya 

jab bhi hoonth kholey , hitchkiyaan hi aayin
ashqon ne mujhko haal bhi sunaane na diya

itni tassalli to hai "AakasH" ko ae sanam
ke mohabbat ko isne sar jhukaane na diya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...