Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, October 10, 2011

Ruswaa hoon magar Mailaa mera qirdaar nahee,

Ruswaa hoon magar Mailaa mera qirdaar nahee,
InsaaN hoon bahot hai, murdoN ka sardaar nahi.

Har-suu jo nazar pheruN faqat tanhaaee rahee,
Dost kyaa yahaaN dikhte ab kyuN Agyaar nahee.

Jab hairat se poocheN kis liye tum loute yahaN,
HaNs kar ye kahaa marne ko dil taiyaar nahee.

Ko-ii to badhaa hogaa fanaa karne ko mujhe,
yooN kamzor mulqe-husn ke bhi gaddaar nahee.

Ye kyaa kar gayaa tu har shamaa naaraaz huii,
Naa sholoN me garmee, jalte hain angaar nahi.

Husnwalon kahaa maano ke kuch paa naa sakoge,
Ye dilwaaloN ki bastee hai koee baazaar nahee.



1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...