Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, October 1, 2011

Har pal ab hum muskuraayenge

Har pal ab hum muskuraayenge

tutne do un dhaago ko, kuch ashayein fir bandh jaayenge,
tutne do tum saahil ko, saagar me jaake wo mil jaayenge,

rishton ka ye bandhan hai anokha, kahin pe bhi jud jaayenge,
tutne do tum rishto ko bhi, jo apne hain fir laut aayenge,

ret ke jo bhi teele hain wo tut ke saare bikhar jaayenge,
armano ko ret na samjho wo jaise hain waise reh jaayenge,

aashaayein hi jeewan hai, wo jeewan se alag na ho payenge,
bas kuch lamho ki deri hogi, khwaab bhi poore ho jaayenge,

ummeedon se bandhi hai asha, wo saath har pal reh jaayenge,
khud ko agar tum jaan sako to mushkilen na fir reh payenge,

har mushkil ko hasi me udaake zindagi ko hum jee jaayenge,
kar lo aaj ye waada humse "har pal ab hum muskuraayenge"...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...