Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, October 8, 2011

Bohat din howay main soya nahi tha,

Bohat din howay main soya nahi tha,
Teri yaad main ab tak main roya nahi tha,
Yeh socha tha kay jub pass aoo gi tum,
Mere sath kuch din bitaao gi tum,
Main tum se bohat sari baatien karon ga,
Teri goodh main sir rakh kay baatien suno ga,
Mere baalon mein teri ungliyan chalaiyen gi,
Tere dil main bhi chahat ki hasrat bharay gi,
Bohat kuch phir kehnay ki koshish karon ga,
Main kaisay jiya tha main tum se kahon ga,
Bohat zabt rakha tha aankhon ne meri,
sitaron kay jhurmat main akeela tha koi,
main pal pal sadiyon sa guzarta tha,
teri yaad main na sota na jaagta tha,
ajab haal tha na bhook na piyass thi,
bus mujhe tere aanay ki ik aas thi,
magar jub unko haal-e-dil suna nay lagay,
aur jee bhara gaya aankhain bhiganay lagay,
nazar jo pari to khamoosh ho gaya,
main phir us ki hasrat main yun kho gaya,
bina kuch sunaay woh khud so gayi,
woh phir se mujhe yun tanha choor gayi,
main kehta bhi kya us ko dekhta raha,
ik ghazal phir sunnanay ko tarsta raha..


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...