Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 30, 2011

jab tum mere saath thi hum mohabbat pe likh lete the,

jab tum mere saath thi hum mohabbat pe likh lete the,
tumhaari judai me hum tumhaare ghum me likh lete the,
ab na to tum mere saath ho na hi meri kalam meri hai,
kal tak tumhari yaadein thi to unhi pe likh lete the,

wo kuch haseen pal jo humne bitaayein hain saath mein,
wo kuch haseen khwaab jo hote the hamare din raat mein,
kya ise achcha kahun ya kahun bura soch raha hoon main,
yahi to kuch baatein thi jinhe soch ke hum likh lete the,

jane kyun tumhe bhul chuke hain tab bhi yaad karte hain,
aur jab tum humein yaad aati ho to bhulna chahte hain,
tumhaare jaane se tumhe bhulaake kalam se chahat ki thi,
tumhaare har andaaz ko soch kuch na kuch likh lete the,

ab to lagta hai kalam ko bhi kuch narazgi ho gai hai humse,
tumhaare chale jaane se kalam ko bhi nafrat ho gai hai humse,
ab tanha raaton ko khamoshi se tanhaayion me guzaar lete hain,
warna pehle ghum bhulaane ke liye hum kuch likh lete the...


2 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...