Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, August 15, 2011

shayed Humein Hi Haal E Dil Sunana Nahi Aata

*shayed humein hi haal e dil sunana nahi aata*masaayeb mein ulajh kar jeena hai meri fitrat
mujhay nakamiyun par ashak bahana nahi aata


jissay samajhta hon mein apna, wohi thokar lagata hai
shayed mujhay SHAHEEN kisi ko azmana nahi aata


shayed kisi dinn utar jao uss k dil mein
lakin mujhay kisi dil mein ghar basana nahi aata


koi sunta hi nahi baychain dil ki sada
shayed humein hi haal e dil sunana nahi aata


chupata hon magar khabar ho jati hai zamanay ko
shayed ghum e dil mujhay kisi se chupana nahi aata


har dukh jhail leta hon mein muskura kar
mujhay mushkil halaat mein ghabrana nahi aata


kaisay jaon uss k darr par PIYAR ki bheek mangnay
mujhay kisi k agay haath phailana nahi aata


Shamma ki Tarha Jal sako ge kiya
Sath mere Pighal sako ge kiya


Zindagi ne Jo Kabhi Di Aawaaz
Aayino se Nikal sako ge kiya


Khud ko Badla nahi gaya tum se
Tum Ruton ko Badal sako ge kiya


Ab wo Shidaat nahi hai Mosam mein
Ab mere Sath chal sako ge kiya


Mere Jutey Pehan liye tum ne
Chaal bhi meri Chal sako ge kiya


Tum koi mom To nahi KHAWAR
Ek Pathar Mein Dhal Sako ge kiya


Image

*Samandar Woh Nahi Jo Ankh Kay Perday Per Rahta Hay* Samandar Woh Nahi Jo Ankh Kay Perday Per Rahta Hay
Zuban_E_Kamoshi Main Dil Ki Her Ik Baat Kahta Hay

Samandar Ankh Kay Ander Bhi Hota Hay Ravan Akser
Kisi Ki Ansuni Baytab Dharkan Main Pinhan Akser

Samandar Who Nahi Saylab Ki Surat Jo Bah Jaye
Bohat Si Ansuni Or Ankahi Batoon Ko Sah Jaye

Samandar Who Nahi Jo Roh Kay Ghao Pay Rahta Hay
Kay Apni Zat Pay Her Chout Khudari Say Sahta Hay

Samandar Who Nahi Jo Aker Palkoon Pay Phisal Jaye
Ya Who Jazba Nahi Jo Ahh Kay Rastay Nikal Jaye

Samandar Youn To Her Ik Zat Main Hoongay Mager Manay
Andaz_E_Janoo Her Baat Main Hoongay Mager Manay

Samandar Jabsay Apni Hi Ankhoon Main Daykha To Yah Jana
Or Apni Ankhoon Main Khud Ko Dobtay Daykha To Yah Mana



har tamashai faqat sahil se manzar dekhta
kaun dariya ko ulatata kaun gauhar dekhta


wo to duniya ko meri divangi khush a gai
tere hathon main vagarna pahala patthar dekhta


ankh main ansu jare the par sada tujh ko na di
is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhta


meri qismat ki lakirain mere hathon main na thin
tere mathe par koi mera muqaddar dekhta


zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itana hausala tha kaun ji kar dekhta


dubane vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum
pal ki mohalat thi main kis ko ankh bhar ke dekhta


tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai 'Faraz'
ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta....



Hay zindagi ki kitab main kia,kisi ko bhi malom nahi
hay eshq kay aglay mor pe kia,kisi ko bhi malom nahi

khuahish tu sabhi kertay hian,chahat tu sabhi ko hoti hay
hay kiskay mukader main likha kia,kisi ko bhi malom nahi

umeed k saharay sab koshish tu bohat krtay hian
kia ho hasil is mahnat say?kisi ko bhi malom nahi

daykhay hain hath bohat,uthtay hain mangtay hain dua
duaon main aser ho k na ho?kisi ko bhi malom nahi

labon pe muskurahat tu hoti ha,baton main shararat shamil bhi
kitna weran ho dil ka saman?kisi ko bhi malom nahi

hay anjam-e-muhabat kia,kisi ko bhi malom nahi
hay qerb-e-judai ki had kahan,kisi ko bhi malom nahi


ik ik pathar jorr k main ne jo devaar bnaai he
jaankhoo us k peechay to rusvaai hi rusvaai he

youn lagta he sotay jaagty aouron ka mohtaaj hoon main
ankhain meri apni hain per un main neend paraai he

dekh rahy hian sab khairat se neelay neelay paani ko
poochay kon samundar se tujh main kitni gehraai he

sab kehty hain ik jannat utri he meri dharti par
main dil main sochoon shaayed kamzor meri beenaai he

baahar sehan main paindon per kuch jalty bhujty jugnuu they
hairat he phir ghar k undder kis ne aag lagaai he

aaj hu maalum mujy mujy shehar ke chand seyaanon se
apni raah badalty rehna sab se bari daanaai he

torr gay paimaan-e-wafa is daur main kesy kesy logg
yeh mat soch qateel ke bas ik yaar teraa harjaai he





*Pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye*

pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye

Image

sach baat maan leejiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aaiinoN pe lagaanaa fizuul hai

terii navaazisheN hoN to kaaNTaa bhii phuul hai
Gham bhii mujhe qubuul, Khushii bhii qubuul hai

us paar ab to ko’ii teraa muntazir nahiiN
kacche GhaRe pe tair kar jaanaa fizuul hai

jab bhii milaa hai zaKhm kaa tohfaa diyaa mujhe
dushman zaruur hai vo magar baa-usuul hai

Image


Tum Apne Khat Mein Yun Lafzoon Ka Silsilaa Rakhna
Her Ek Lafz Ka Mafhoom Dusraa Rakhna

Tumhaare Lab Ki Mehak Raaz Faash Kar Dey Gi
Lifaafaa Band Na Karna, Yun He Khulaa Rakhna

Na Itnaa Toot K Milliye K Dil Pay Shak Guzrey
Khuloos Mein Bhi Zaroori Hai Fasilaa Rakhna

Main Zindagii Mein Kahiin Tumsey Mil He Jaaon Ga
Magar Yeh Shart Hai,Biccharney Ka Hauslaa Rakhna

Yeh Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ney Bakhsha Hai
Jalaana Sham'ma To Daaman Sey Faasilaa Rakhnaa


Image


Phool Kyo Yeh Sochey Ga Khushboon Ka Kya Hoga
Tum Ko Is Say Kya Matlab Dil jalo Ka Kya Hoga

Un K Barey Kya Sochey Daar Jinki Manzil Hai
Ghaur Is Pay Karna Hai Buz-Dilo Ka Kya Hoga

Jin Ko Dekhiye Saahab Hai Havas Bulandi Ki
Koi To Zara Soche Pastiiyo Ka Kya Hoga

Tum Badaltey Rahtey Ho Roz Ek Naya Chehra
Kuch Khabar Bhi Hai Pyaarey Aaino Ka Kya Hoga

Tum Ko Zid Hai Dariya Ko Reet Mein Badalney Ki
Naa-Khudao Batlaao Kashtiyo Ka Kya Hoga

Aap Kam Say Kam “Sajid” Fan Ki Aarzoo Rakhiye
Sher Sab Kahen Gay To Shairon Ka Kya Hoga

ImageImage


جو آواز دے کر وہ ہم کو بلاتے
یہ ممکن ہے پھر ان کے ہم ہو ہی جاتے

تمنا تھی ملنے کی گر ان کے دل میں
تو پھر حال دل بھی وہ ہم کو سناتے

صبا کوئی پیغام ان کا جو لاتی
تو گھر بارکو اپنے یم بھی سجاتے

محبت جا ہوتی زرا ان کے دل میں
کبھی وہ بلاتے کبھی آتے جاتے

نہ ملتا انہیں راستہ واپسی کا
جو آنکھوں کے رستے وہ دل میں سماتے

وہ غیروں کے پہلو میں تشریف رکھ کر
مجھے میری نظروں سے یوں نہ گراتے


نہ ہوتی اگر دل میں دلبر کے چاہت
تو آنکھوں کو رو رو کے یوں نہ سجاتے


ImageImage



Zerd Patta Hoon Koi Girnay Say Bachalay Mujhko
Sada Pather Hoon Koi Dil Say Tarashay Mujhko

Sabhi Kahtay Hain Shabnam Ki Terha Serd Ho tum
Ankh Ka Ansoo Hoon Koi Ankh Main Chupalay Mujhko

Duniya Walay Daytay Hain Pather K Sanam Ka Ritba
Main Mahaz Moom hoon Koi choo ker to Daykhay Mujhko

Nazar Atay Hain Ab Bhi Aeinay Ki terha Salam lakin
Kirchi Kirchi Hoon Koi Dheray Say Samaytay Mujhko

Humnay Aik Umer Sathiyon Main guzari Phir bhi
Tan_E_Tanha Hoon Koi Sath Chalalay Mujhko

Tumbhi Kah jatay Hoo Roshan Shama Mujhko
Jalta DIYA Hoon Koi Dewaar Per Sajalay Mujhko

ImageImageImageImage




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...