Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

"(¯`»¦ Kabi Dekho Tum Us Paar »¦«´¯)"

Tum ho ke to dunyaa se bay-zaar kabhi daikho
Aankho'n mai'n kabhi utro, uss paar kabhi daikho
                        
Aansoo ki haqeeqat to, hai zakhm se paiwastaa
Garr rooh pe tum khaa ker, ik baar kabhi daikho
         
Ho aankh jaha'n dard to aansoo ho kahaani
Aisee bhi koee dunyaa ik baar kabhi daikho

Dil toot na jaay gaa, garr tum jo kabhi khud ko
Aaeena-e-dunyaa mai'n bay-kaar kabhi daikho

Daikho gay kabhi tum bhi, ik doobti nayya ko
Saahil pe kharay ho ker ik baar kabhi daikho
  
Woh mujh se ye kehtay hai'n, chhoro ye ajab baatai'n
Jazbaat ki lughat mai'n, tum pyaar kabhi daikho

Parhtay jo meri aankhain, to jaan ye laitay woh
Kuchh log nahi'n kertay izhaar kabhi daikho
             
Auro'n ki tarah tum bhi, boli naa lagaa daina
Baahar jo mere ghar ke khareedaar kabhi dakho

Iss shor mai'n tum meri aawaaz dabaa dainaa
Garr log samaa'at se bay-zaar kabhi daikho
 
Bojhal jo meri aankhain daikhai'n to wo kehtay hain
Tum so ke to abb sanam ik baar kabhi daikho




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...