Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 11, 2011

Zikre shabe Firaaq se Wehshat use bhi thi

Zikre shabe Firaaq se Wehshat use bhi thi
Meri tarah kisi se Mohabbat use bhi thi


Mujhko bhi shauk tha naye chehro ki Deed ka
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi
           

Us raat der tak wo rahaa mahu e Guftagu
Masruf me bhi kam tha Faraagat use bhi thi


Mujh se bichad ke shaher me Ghul mil gaya wo shkhs
Halaanke Shaher bhar se Adawat use bhi thi
     

WO mujh se badh kar Zabat ka Aadi tha Ji gaya
Warna har ek saans Qayaamat use bhi thi
   

Sunta tha wo bhi sab se Puraani kahaaniya
Shaayed RafaaQto ki Zarurat use bhi thi


Tanha hua me Safar me to mujh pe Khula ye Bhed
Saaye se pyaar dhup se nafrat use bhi thi
       

Mohsin me us se keh na saka Yu bhi Haale dil
Darpesh ek TAaza Musibat use bhi thi .......



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...