khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kaun
hath main barish k mausam ka pata daita hai koun
meri aankhain band hain aur dhyan k rastay khule
rooh k ander utar kar aaina daita hai koun
tum mujhe ye kon se waqton main aa kar mill gaye
umr k es morh par kise ko sada daita hai koun
koun hai jiss k liye ikk umr se be chain hoon
umr bhar ki be kali pal mai barha daita hai koun
koun hai jo raat bhar aawaz daita hai mujhey
aur din bhar apni khamoshi suna daita hai koun
koun hai jo khowab rakkh daita hai sooni aankh mai
nind mai bhi jagtey manzar dikha daita hai koun
koun hai jis key liye nazmain kahey jaati ho tum
es zamane mai kisi ko youn dua deta hai koun
No comments:
Post a Comment