yeh barasti barishein or muhabbaten b ek c hoti hain,jo anaayaton ki tarha barasti hain or har dukh,aadawat or gard ko dho le jati hain.or kabi kabi to ye sb kuch baha kr apne sath le jati hain..
aj b barasti barish or dhalti sham ek sath thi..ankhon k samne woh sare manzir kisi album ki tarha chalne lge the..
waqat kabi loat kr wapis nhi aata,sirf yaadon k jugno daman me daal kr humesha humesha k lye chala jata hai..yaadon k ye jugno apni rooshni se zindgi me kabi andera nhi hone dete...jb hum khali hath reh jate hn to phir yaadain hi hasil-e-zeesat hoti hain....
barasti barish me sehan se uthne wali mitti ki dil ko cho jate wali khushbo or tumhari yaad aj b is dil me zinda-o-jawaid hai...
kash woh lamhe phir se loat aayen..kashhhh
yahan dhanak k sare rang the..or hathon me hath dale gulabi galon wale bache kikli dalte or kabi khaghaz ki nao(kashti) bna kr barish k jama shuda pani me chor dete..sehan ki 1 tarf lgi motiye ki bail par adh khile phool or unki khushu mahool ki khoobsorti me izafa kr rhe the..rim jimh barasti barish kisi sehar ki manid maloom hoti thi..tesre zene par bethi wo bari bari bhori(brown) aankhon wali masoom c bachi kisi or hi dunya me gum thi..shayed wo is barasti barish me mehv-e-khawab thi..lekin use kisi ne btaya na tha k barish me dekhe gye khawab boht ajeeb hote hain,jin ki tabeer b barish k is pani me beh jati hai..
woh choti c larki jis k kehke or muskarahat dosre bachon se milte zarur the lekin us ki bolti ankhon me basne wale khawab boht mukhtalif the..muhabbaton ki barish me bheeg jane ki khawaish ..ya shayed beh jane ki khawaish..
woh hathon me 1 khila gulab le kr yon hi kitni dair se barish me bheeg rhi thi..k achanak badal ki zor dar garj se woh sir ta pair larz gyi thi..us k hath se gulab ka phool gir gya jis ki pattiyan barish k pani me bikhar gyi the..
aj b woh barish ko yon dariche se dekh rhi thi..zindgi ki guzashta barsaton ne ise ye bawar krwa diya tha..k jis dunya me woh rehti hai yahan haqeeqaten boht talkh hoti hain.. jb kale siyah badalon ki tarha roz dar andaz me garj kr barasti hn..to sare khawab gulab ki un pattiyon ki tarha beh jate hn..or muhabbat sb kuch baha kr le jati hn..
ab phir jb us ne apni muthi khool kr dekha to sirf yaadon k woh jugo zinda the..khawaishon ki sari titliyan mar gyi thi..sb kuch beh gya tha..!!!!
I really like Barish Poetry. I remember a quote of Charlie Chaplan “I always like walking in the rain, so no one can see me crying.”.
ReplyDelete