Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 4, 2011

Woh zameen aur ho aasmaan aur ho

Woh zameen aur ho aasmaan aur ho
Ab jahan ham raheen woh jahan aur ho
Shehar se dour ja kar baseen gaoun main
Meri janat baney zulf ki chaoun main
In makano se hat kar makan aur ho
Ahtbar aey aa k na jaey kabhi
Is mohabat pe ab shaq na aey kabhi
Is mohabbat k kabhil samaan aur ho
Asi duniya jahan pyaar aazad ho
Aisa gulshan k jis main na saiyad ho
Woh chaman aur ho aashiyan aur ho


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...