un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho
us jheel kinaaray pal dou pal
ik khwaab ka neela phool khilay
woh phool baha dain lehron main
ik roz kabhi hum shaam dhalay
uss phool kay behtay rangon main
jis waqt laraztaa chaand chalay
uss waqt kahin un ankhon main
uss basray pal ki yaad tou ho
un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho
phir chahay umar samandar ki
har moj preshaan ho jaaye
phir chahay aankh dareechay say
her khwaab guraizaan ho jaaye
phir chahay phool kay chehray ka
her dard numayaan ho jaaye
uss jheel kinaray pal dou pal
woh roop-nagar iijaad tou ho
din raat kay iss aaieenay say
woh aks kabhi aazaad tou ho
un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho
No comments:
Post a Comment