Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 9, 2011

Sitam hi karna Jafa hi karna

Sitam hi karna Jafa hi karna
Nigaah-e-lutf kabhi na karna
Tumhein Qasam hai Hamaare Sar ki
Hamare Haq mai Kami na karna

Kahan ka Aana kahan ka Jana
Wo jante hi nahi ye Rasmein
Wahan hai Waade ki bhi ye Surat
Kabhi to karna kabhi na karna

Hamari Mayyat pe Tum jo aana
To chaar Aansu baha ke jana
Zara Rahe Paas-e-Aabru bhi
Kahin Hamari Hansi na karna

Wo ek Hamara Tarq-e-Ulfat k
Dushmanon se bhi mil ke chalna
Ye ek Shewa Tera Sitamgar k
Dost se Dosti na karna


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...