nagari nagari phira musaafir ghar ka rastaa bhul gayaa
kya hai tera kya hai mera apanaa paraayaa bhul gayaa
apani biti jag biti hai jab se dil ne jaan liya
hasate hasate jivan bita rona dhona bhul gayaa
Andhyaare se ek kiran ne jhank ke dekhaa sharmaa_ii
dhundh si chhab to yaad rahi kaisa tha chehara bhul gaya
hasi hanSi me khel khel me baat ki baat me rang gayaa
dil bhi hote hote aaKhir ghaav ka risanaa bhul gayaa
ek nazar ki ek hi pal ki baat hai Dori saanso ki
ek nazar kaa nur miTaa jab ek pal bita bhul gaya
jis ko dekho us ke dil me shiava hai to itanaa hai
hame to sab kuch yaad raha par ham ko zamaana bhul gayaa
koi kahe ye kis ne kaha tha kah do jo kuchh ji me hai
"Miraji" kah kar pachhataya aur phir kahana bhul gaya...
No comments:
Post a Comment