Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 8, 2011

~Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa~

~Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa~
 ~Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa~

 ~Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya~
 ~Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa~

 ~Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye~
 ~Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa~

 ~Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Ghorh Gaye~
 ~Ye Mery Seher Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa~

 ~Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila~
 ~Na Kisi Ke Chot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa~

 ~Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa~
 ~Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa~

 ~Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila~
 ~Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa~

 ~Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon~
 ~Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa~

 ~Hameen Apny Gharh Sey Chaly Hoye, Sar Rah Umer Guzar Gaye~
 ~Na Safar Ka Haq Ada Hoa, Na Justajo Ka Sila Mila~


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...