koii mausam ho dil meiN hai tumhaari yaad ka mausam
k badlaa hii nahiiN janaaN tumhaare baad ka mausam

nahiiN to aazmaa kar dekh lo, kaise badaltaa hai
tumhaare muskuraane se dil-e-naashaad ka mausam

Sada taishe se jo nikli, dil-e-shiriiN se uThii thii
Chaman Khusro ka thaa laikin, raha farhaad ka mausam

ParindoN ki zubaaN badli, kahiN se DhuuND le tu bhii
Nayyii tarz-e-fuGhaaN aye dil ke hai eejaad ka mausam

ruttoN ka qaaeda hai waqt par yeh aati jaati heN
hamaare shahr meN kyoN ruk gaya faryaad ka mausam

kahiiN se us hasiiN aavaaz ki khushbuu pukaare gii
to us ke saath badle gaa dil-e-barbaad ka mausam

qafas ke baam-o-dar meiN raushani si aayii jaatii hai
chaman meiN aa gaya shaayad lab-e-aazaad kaa mausam

mere shahr-e-parishaaN meiN tirii be chaand raatoN meiN
bahot hi yaad kartaa hooN tirii buniyaad ka mausam

na koii gham khizaaN kaa hai, na Khwaahish hai bahaaroN kii
hamaare saath hai Amjad kisii kii yaad ka mausam

No comments:
Post a Comment