Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 4, 2011

Ek Tammana Si Thi Is Dil Ko Aapke Kareeb Aane Ki

Ek Tammana Si Thi Is Dil Ko Aapke Kareeb Aane Ki
Sach To Yeh Hai Ke Khuwaab Mein Bhi Kabhi,
Umeed Na Thi Aapse Yun Bicharr Jaane Ki…♥
Shayad Main Hi Pyaar Ko Samaj Na Paayi
Isliye Aaj Aisi Saza Mili Hai Mujhe
Kisi Se Dil Lagaane Ki…♥
Zakhm Khane Ki Aadat Yuhi Nahi Ho Jaati Hai Dost
Zakhm Gehre Bhi Tab Hote Hai,
Jab Dard Hadd Se Ziyaada Guzar Jaaye
Aur Labo Par Koi Shikayat Na Ho,
Humein Aadat Rahi Hamesha Chup Reh Jaane Ki…♥
Logo Ka Kya Hai, Har Baat Par Charche Karenge,
Koi Nahi Poochega..aakhir Kya Khwaish Thi Iss Deewani Ki…♥
Kuch Baatein Aisi Hoti Hai Zindagi Mein Ke
Insaan Chaah Kar Bhi Khuwaab Nahi Dekh Paata
Yunh Samajlo, Khuda Ko Bhi Aadat Hai
Insaan Ko Aazmaane Ki…♥
Dil Ki Har Baat Keh Doon To Aapko Chot Na Puhanche
Isliye “Hum” Bhi Ab Seekh Rahi Hai Woh Ada
Aapse Apne Gham Chupaane Ki…♥


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...