Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 6, 2011

Wo nazar say to door hai magar

Wo nazar say to door hai magar
ye ajeeb surat e haal hai
Her waqt paish e nazar bhi hain,
na firaq hai na wisaal hai
Na wo hum se gum
na hum unn se gum,
wo idher khafa
hum udher khafa
Na unhein humara khayal hai
na humhein damagh e sawal hai
Yehi qurbatien yehi faaslay
to khaloos ki jaan hain
Kabhi gard e ranj o malaal hai
kabhi fikr ye paish e haal hai
Ye tumhari kuch adaaiyan
koi aur sah kar dikhaye to
Ye jo hum mein tum mien nibaah hai
mere hoslay ka kamal hai
Mujhe iss ka koi bhi ghum nahi
ke kisi ne mujh se wafa na ki
Mien kisi kay kaam na aa saka,
mujhe sirf iss ka malal hai
Jo guzar rahi hai guzaar do,
no bura kaho na gila karo
Jo tumhara haal hai dosto,
wohi saaray shehr ka haal hai
Wo kahaan se laooon roshni,
jo kisi shehr mein lut gayi
Wo aiyeinoon ka shehr bhi lut gaya
mujhe iss ka aur milaal hai
Tere mashwary ke khaloos ye
mujhe tark e ishq qabool hai
Magar ik baat hai dilnasheen,
meri zindagi ka sawal hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...