Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

Samundar may utarta hon

Samundar may utarta hon
to aankhain bheeg jati hain
tre aankhon ko parhta hon
to aankhain bheeg jati hain

tumhara nam likhnay ke
ijazat chin gai jub say
koi bhe lafz likhta hon
to aankhain bheeg jati hain

tery yadon ke khushbo
khirkyun may raqs karti hay
teray ghum may sulagta hon
to aankhain bheeg jati hain

may huns kar jhail leta hon
judai ke subhi rusmain
gulay jub us k lagta hon
to aankhain bheeg jati hain

na janay ho gya hon
isqadar hassa may kub say
kisi say bat karta hon
to aankhain bheeg jati hain

wo sub guzray huay lumhat
mkujh ko yaad aatay hain
tumharay khut jo parhta hon
to aankhain bheeg jati hain

may sara din bohot musroof rehta hon
megar junhi qudam chokhat pay rakhta hon
 to aankhain bheeg jati hain

her ik muflis k mathay pay
alum ke dastanain hain
koi chehra bhe parhta hon
to aankhain bheeg jati hain

teray koochay say ab mera
tauluq wajbi sa hay
mugar jub bhe guzarta hon
to aankhain bheeg jati hain

huzaron moosmoon ke hukmrani
hay meray dil per"wasi"
may jub bhe hunsta hon
to aankhain bheeg jati hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...