Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, May 24, 2011

kabhi kabhi mere dil meiN Khayal aata hai


kabhi kabhi mere dil meiN Khayal aata hai

k zindagii teri zulfoN ke narm chaaoN meiN
guzarne paati to shadab ho bhi sakti thi
ye teeragi jo miri zeest ka muqaddar hai
teri nazar ki shu’aoN meiN kho bhi sakti thi

ajab na tha k maiN begana-e-alam ho kar
tere jamal ki ra’naiyoN meiN kho rahta
tera gudaz badan teri neembaaz aaNkheiN
inheeN haseen fasanoN meiN mahu ho rahta

pukaarti mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tere laboN se halaavat ke ghooNT pee letaa
hayaat cheekhti phirti barhanaa sar aur maiN
ghaneri zulfoN ke saaye meiN chhup ke jee letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
k tu nahiN tera Gham , teri justajoo bhi nahiiN
guzar rahi hai kuchh is tarha zindagi jaise
ise kisi ke sahaare ki aarzoo bhi nahiN

zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa houN gale
guzar rahaa houN kuchh anjaani rah-guzaaroN se
muheeb saaye meri simt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke purhaul KhaarzaaroN se

na koi raah, na manzil, na roshnii ka suraag
bhatak rahi hai andheron meiN zindagi meri
inhi andheron meiN reh jaouNga kabhi kho kar
maiN janta houN miri ham nafas magar yun hi

kabhi kabhi mere dil meiN Khayaal aataa hai...


 

3 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...