Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, May 19, 2011


Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Rakha Tha Taron Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha Kaya Baat Karu Us Ki
Ik Shakhs Ko Mana Tha Khushboo Ki Tarah Hum Ne
Din Us Ke Liye Payda The Thee Us K Liye Ratein
Kab Milta Tha Wo Kisi Se Wo Bus Hum Hi Theen Mulakatein
Ik Din Wo Shakhs Hum Ko Apno Ki Tarah Bhoola
Phoolon Ki Tarah Bikhra. Taron Ki Tarah Toota
Phir Tum Kiyun Yun Chonkey Ho?
Kab Zikr Tumhara Hai?
Kab Tum Se Khawahish Hai?
Kab Tum Se Umeedein Hai?
Kab Tum Se Tamanna Hai?
Kab Tum Se Taqaza Hai?
Ik Taaza Haqayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ik Shakhs Ko Chaha Tha





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...