Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 7, 2011

Aye Ishq Na Chairr Aa Aa Ke HaMein

Aye Ishq Na Chairr Aa Aa Ke HaMein,
HuM Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai HuM,
Tu Aur HaMein Nashaad Na Kar,
QisMat Ka SitaM Hi KaM Nahi Kuch,
Ye Taaza SitaM Ijaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Raaton Ko Uth Uth Rote Hain,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hain,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye Ishq Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hain Na ZaaliM Marte Hain,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Aye Ishq Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen BadnaaM Na Ho,
Wo Maah-E-Laqaa BadnaaM Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen BadnaaM Na Ho,
NaaMuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen BadnaaM Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Duniya Ka TaMasha Dekh Liya,
GaMgeen Si Hai Betaab Si Hai,
UMMid Yahan Ek WahaM Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka NaaM Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...